Wednesday, November 24, 2010

bihar ka result

f eeling of unrest hai ya satta ki ji huzoori aur qaumi zindegi ke liye yeh donon baten nuqsandeh hain

Wednesday, November 17, 2010

hussainulhaque thinks

Aankh per charh jae to mitti ko sona janye
Ankh se gir jae to lal o guhar kuchh bhi nahin
                                 Nazish sahsarami
2 HONA kya hai na hone aur hone ke bich farque kya  hota to patthar bhi hai aur nali ka kirha bhi aur insan bhi      phir insan aur nali ke kirhe ke darmyan demarcation line kahan per khinchti hai  insan insan kyon hai aur is ka hona kirhe ke hone se mokhtalif kyon  hai pet to donon  ke pas hai magar dimagh to sirf insan ke pas hai maloom hua ki insan ka hona ghair insanon se mokhtalif is liye hai ke hamen pet ke sath dimagh bhi diya gaya hai aur hamari zimmadari hi nahin zaroorat hai hum pet ke sath dimagh ko bhi khana pani dete rahen                         3 dimagh ko khana dene ka kya matlab hai haradmi dimagh ki fikr karta badshah ya faqeer kisi ghar mein bhi agar koi pagal ho jae to us ke ilaj ki zaroot mahsoos hone lagti aur har ghar wala apni auqat bhar us ka ilaj karata bhi hai koi doctor ya professor ho ya labour class ka koi aadmi dimagh to sabhi istemal karte hain is liye dimagh ka goya sabhikhyal rakhte hain phir main jo dimagh ka kheyal rakhne aur khana pani dene ki bat kar raha hun is ka kiya matlab hai       Main yeh suwal ane aap se hi karta hun to mera apna aap jawab deta hai ki dimagh ko khana pani dene ka matlab us ki INTUTIVE ABILITY ko taqatwar banana hai faculty koi  sc social sc humanities ya fine arts jab tak aap us ke silsile mein traditional hain aur beaten leak per chal rahe hain tab tak aap goya us particular faculty ke silsile mein aap dimagh ko goya sahih taur par khana pani nahin de rahe hain