Friday, December 31, 2010

NAYA ISWI SAAL MUBARAK

Han yeh sahih hai ke kal jo naya sal shuroo hoga us ki nisbat HAZRAT ISA ki taraf hai muslim hone ke noqta e nazar se yeh bahut zeyada karahat ki bat nahin hai kyonke Hazrat ISSA ko paighamber mane beghair hamara ISLAM hi mokammal nahin hota is liye agar Iswi sal per mubarakbad de len aur khush ho len to koi harj nahin hai balke rawadari tolerance ka sabaque yehi hai albatta jo kuch ab new year ke nam per ho raha hai yeh sab kuch ISLAM MEN TO NAHIN HI HAI mera yaqueen hai ke HAZRAT ISSA KE LIYE BHI YEH SAB KUCH PASANDIDA NAHIN HAI

Thursday, December 30, 2010

hussainulhaque thinks

DUA KEYA HAI Dua ke bare men sochne ka aam andaz yeh hai ke dua Allah se mangi jati hai yani dua ka sara talluque THE OTHER se hai lekin is silsile ka do pahloo aur bhi hai 1. ALLAHne kaha hai ke main tumhari shahrag se ziyada tum se qarib hun to goya hum jis se mang rahe hain woh hum se door ya hum se alag nahin hai woh to bilkul hamare pas hai balke bilkul hamare apne aap men hamare dil men 2 dua ka doosra talluq apne aap se hai yani agar dua rasmi taur per nahin mangi gai hai Dua dil se nikli hai to is Dua ko aap ke apne wojood ka hissa bhi banna hai. Aur jab Dua aap ke wojood ka hissa banti hai to woh Dua aap ka URGE ban jati hai aur jo URGE jitna Powerful hota woh aap ke ander utni zeyada activity paida karta hai aap us particular dua yani us tamanna se jurh jate hain aur jis tamanna se aap jitna jurhenge us tamanna ko poori karne ke liye aap ke ander sirf activity hi nahin paida hogi balke aap ke samne khud bakhud raste khulte jaenge tariqe nazar aate jaenge Dua qobool hone ki yehi nishanian hain

Tuesday, December 14, 2010

hussainulhaque thinks

TASAWWUF ki insani zindegi men kiya zaroorat hai pahle ke buzurg mazhab aur tasawwuf donon ko zindegi ke bad ke liye istemal karte the main un ko ghalat nahin kahta har daur ki apni danish hoti hai jo apne apne daur ke siyaq o sibaq suffix and prefix men logon ka stand moqaf tai karti hai    main sochta hun ki tasawwuf ki aaj kal ki banisbat ziyada zaroorat hai kal ki society itni multinational aur global nahin thi magar aaj hamen jis qism ke challenges ka samna hai us ka samna karne ki asl salahiat tasawwuf hi ke pas hai soofi noqta e nazar aur ghair soofi noqta e nazar ka ek buniadi farq hai   soofi approach matn text ki literal meaning ke sath us ke andar maujood spirit rooh ko bhi samajhne ki hedayat karta hai  ghaur kiya jae to substitute wale rawaiye ko khuda ki sunnat bhi kaha ja sakta hai yeh jo Adam ko aur Adam ki aulad ko khuda ne apna khalifa aur naib kaha Islam ko deen e Ibrahimi ka mohammadi edition qarar diya  nmaz roza haj apni bigrhi hui soorat men Arab cociety men raej the unhen purify kar ke pakiza shakl ata ki yeh is bat ka soboot hai ki ISLAM men substitute ki na sirf ijazat hai balke khuda aur rosool pboh ne substitutive approach se kahin apni bezari ka elan o izhar nahin kiya hai

Thursday, December 9, 2010

hussainulhaque thinks

Luner system ke QAMRI mahine ko bihar ke ek saheb maulana Abdussami jafri ne HOZOOR ka mahina likh diya  doosre saheb jo munger ke kisi school men head master hain unhon ne apne ek byan men farmaya ki HOZOOR ne moharram men makka se madina hijrat farmai   head master saheb bachchon ki kiya rahnomai karte honge un ke isi byan se zahir hai unhen itna bhi nahin maloom ki HOZOOR ne moharram men nahin balke RABIULAWWAL MEN HIJRAT FARMAI  maulana Jafri ko kya kahun woh to hindustan men wahabion ke sardar hain unhen to SAOODI ARAB men baithe apne aqaon ko khush karne ke liye koshish karte hi rahna hai jafri saheb ne moharram ko HOZOOR ka mahina kah kar ek teer se do shikar kiya  1 RABIULAWWAL ke HOZOOR KA MAMAHINA hone ke tasawwur ko dhundla kiya 2 MOHARRAM ke GHAM E HUSSAIN KA MAHINA hone ke tsawwur ko awami yaddasht se hatane ki ek nakam koshish ki  aise log ROSOOL AUR NAWASA E ROSOOL kisi ke bare men mukhlis nahin mane ja sakte

Wednesday, December 8, 2010

hussainulhaque thinks

Ab zamana badal gaya kal Moharram gham ka mahina samjha jata tha ab is mahine ki shurooat per kuch log mobarakbad dene ki talim dete hain un ki logic yeh mai ki yeh Hijri mahina hai is liye is mahine ko welcome kiya jana chahye yeh sab sun kar in baton per aur aisi baten karne wale jahilon per afsos hota hai inhen hozoor sallallah o alaih e wasallam ke Makka se Madina hijrat karne ke bare men bhi kuch maloom nahin agar aise log koi bhi islami tarikh parhte to inhen khabar rahti ki hozoor ne safar ke akhir Makka se hijrat ikhteyar farmai thi aur 8 RABIULAWWAL ko madina pahunche the aur jise aaj HIJRI mahina  kaha jata hai woh to dar asl luner system ke hisab se QAMRI mahina hai aur yeh koi musalmanonka mahina nahin hai yeh to arbon ke yahan islam ke pahle se raej tha is ka islam se kiya lena dena Islam aur mosalmanon ke noqta e nazar se bus ek hi bat sabit hai ki Moharram gham ka mahina hai GHAM E HUSSAIN ka mahina hai SHAHADAT E HUSSAIN ka mahina hai jo is mahine men khushi ka izhar kare us ka shumar ALLAH aur us ke ROSOOL ko iza pahunchane walon men hoga

Sunday, December 5, 2010

hussainulhaque thinks

KE TARIQE SE BAGHAWAT KAR KE TORH DIYA GAYA YA TORHWA DIYA GAYA

hussainulhaque thinks

kal 6 december hai har sal 6 december aata hai aur chala jata hai is sal bhi aega aur chala jaega magar sowal yeh hai ki har sal 6december yad kyon ata hai main apni taraf kharha ho kar sochta hun to pahle hansi aati hai phir ghuss a aata hai hansi is bat par ki ham kis qadar shandar qism ke gadhe hain ki hamen na to apni tarjihat ka pata hai na apni auqat ka halanke apni inferadi zindegi men apni tarjihat bighair kisi elan ke dunia ke samne rakh dete hain sari dunia ki tarah hamen bhi  roti kaprha aur makan ki zaroot hoti hai yani hamara bunyadi masla economy hai magar jab ham ijtemai manzarname ka ek hissa bante hain to apni auqat yad rakhe bighair naron ka shikar ho jate hain aur woh ho jata hai jo nahin hona chahye tha aur yeh jo nahin hone wali bat ho gai is ke hone per mujhe na to a ek ek fsos hota hai na hairat hoti hai kyonki ek plural society mein Hindustan jaise bahut sa tahzibi mazhabi aur fikri sarmaya rakhne wale mulk men har group ke apne apne ambitions hote hain aur zahir hai ki jo tadad men ziyada rahega us ke pas ambition ko poora karne ke mawaqe aur asbab donon ziyada rahenge aise men chain ka  rasta sirf yeh hai ki point of difference ko kabhi touch na kiya jae SOOFIA ne yehi kiya tha ham ne yeh sabaq bhula diya aur pit gae bechare hinduon  se kyon khafa raha jae hamara bhi siyasi istemal hota hai un ka bhi siyasi istemal hota hai ham bhi apne fanetic mizaj leaders ke propaganda range men aate hain woh bhi aate hain woh bhj aate hain  aur zahir hai ki jo taqat aur asar men ziyada hoga upper hand bhi usi ka rahega yeh to naturel phenamena hai har 6 december ko afsos sirf ek bat ka hota hai ki jo masjid soofia ki hikmate amali ke sabab bachi rahi use SOOFIA KE TARIQE SE BAGHAWAT BBBAGHAWAT KAR KE TORHE JANE MAWAQE A