Aankh per charh jae to mitti ko sona janye
Ankh se gir jae to lal o guhar kuchh bhi nahin
Nazish sahsarami
2 HONA kya hai na hone aur hone ke bich farque kya hota to patthar bhi hai aur nali ka kirha bhi aur insan bhi phir insan aur nali ke kirhe ke darmyan demarcation line kahan per khinchti hai insan insan kyon hai aur is ka hona kirhe ke hone se mokhtalif kyon hai pet to donon ke pas hai magar dimagh to sirf insan ke pas hai maloom hua ki insan ka hona ghair insanon se mokhtalif is liye hai ke hamen pet ke sath dimagh bhi diya gaya hai aur hamari zimmadari hi nahin zaroorat hai hum pet ke sath dimagh ko bhi khana pani dete rahen 3 dimagh ko khana dene ka kya matlab hai haradmi dimagh ki fikr karta badshah ya faqeer kisi ghar mein bhi agar koi pagal ho jae to us ke ilaj ki zaroot mahsoos hone lagti aur har ghar wala apni auqat bhar us ka ilaj karata bhi hai koi doctor ya professor ho ya labour class ka koi aadmi dimagh to sabhi istemal karte hain is liye dimagh ka goya sabhikhyal rakhte hain phir main jo dimagh ka kheyal rakhne aur khana pani dene ki bat kar raha hun is ka kiya matlab hai Main yeh suwal ane aap se hi karta hun to mera apna aap jawab deta hai ki dimagh ko khana pani dene ka matlab us ki INTUTIVE ABILITY ko taqatwar banana hai faculty koi sc social sc humanities ya fine arts jab tak aap us ke silsile mein traditional hain aur beaten leak per chal rahe hain tab tak aap goya us particular faculty ke silsile mein aap dimagh ko goya sahih taur par khana pani nahin de rahe hain
This was also by you....
ReplyDeleteBaquraeed Kyun??
Aj Baquraeed hai socha yeh din kyon yad kiya jata hai dil ne kaha
PAHLI WAJAH to yeh ki yeh inter religion contact ka ek zaria hai Hazrat Ibrahim ko yad karnna Yahudion Isaion Sabaeen aur ARAB ki digar tamam aqwam ko yeh paigham dena hai ki hamare pas ek nam aisa hai jis ke nam aur kam yani DEEN E IBRAHIM Ke hawale refrence se ham sab ek ho sakte hain
DOOSRI WAJAH yeh ke Eid e qurban ek NOQTA E RUKHSAT departure point hai aaj se insani jan ki qurbani khatm hui insani irtequa ki tarikh ka yeh intehai ahm morh turning point hai
TEESRI WAJAH ALLAH ne Quran e karim mein asani pasand karne ka elan farmaya to usne khud apne amal se bhi asani ko apna pasandida tariqua sabit farma diya ki bete ki qurbani ki jagah janwer ki qurbani qobool farma liya baqui phir kabhi