Sunday, December 5, 2010
hussainulhaque thinks
kal 6 december hai har sal 6 december aata hai aur chala jata hai is sal bhi aega aur chala jaega magar sowal yeh hai ki har sal 6december yad kyon ata hai main apni taraf kharha ho kar sochta hun to pahle hansi aati hai phir ghuss a aata hai hansi is bat par ki ham kis qadar shandar qism ke gadhe hain ki hamen na to apni tarjihat ka pata hai na apni auqat ka halanke apni inferadi zindegi men apni tarjihat bighair kisi elan ke dunia ke samne rakh dete hain sari dunia ki tarah hamen bhi roti kaprha aur makan ki zaroot hoti hai yani hamara bunyadi masla economy hai magar jab ham ijtemai manzarname ka ek hissa bante hain to apni auqat yad rakhe bighair naron ka shikar ho jate hain aur woh ho jata hai jo nahin hona chahye tha aur yeh jo nahin hone wali bat ho gai is ke hone per mujhe na to a ek ek fsos hota hai na hairat hoti hai kyonki ek plural society mein Hindustan jaise bahut sa tahzibi mazhabi aur fikri sarmaya rakhne wale mulk men har group ke apne apne ambitions hote hain aur zahir hai ki jo tadad men ziyada rahega us ke pas ambition ko poora karne ke mawaqe aur asbab donon ziyada rahenge aise men chain ka rasta sirf yeh hai ki point of difference ko kabhi touch na kiya jae SOOFIA ne yehi kiya tha ham ne yeh sabaq bhula diya aur pit gae bechare hinduon se kyon khafa raha jae hamara bhi siyasi istemal hota hai un ka bhi siyasi istemal hota hai ham bhi apne fanetic mizaj leaders ke propaganda range men aate hain woh bhi aate hain woh bhj aate hain aur zahir hai ki jo taqat aur asar men ziyada hoga upper hand bhi usi ka rahega yeh to naturel phenamena hai har 6 december ko afsos sirf ek bat ka hota hai ki jo masjid soofia ki hikmate amali ke sabab bachi rahi use SOOFIA KE TARIQE SE BAGHAWAT BBBAGHAWAT KAR KE TORHE JANE MAWAQE A
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment